Kites - deep impact on life





Office ki chay aaj kafi boring si lag rhi thi , vse lgegi bhi kyu na aaj office me boss se dant jo pdi h . pta nahi kyu sabhi boss itna kyu dant te h . pta nahi ki meri kismat hi kharab h ya aaj ka din ?
aaj to asa lag rha h ki vapas apne ghar apne shahar vapas chle jau . bas bahut kaam kar lia praye shahar me . man karta h ki apne shahar dehradun vapas chla jau yha delhi me dam ghut rha h . asa lag rha ki kal ki hi baat h itni badi company me placement hui h . lekin work bhi utna jyada hi dete h kse koi handle kar sakta h
ek din mom ka phon aaya or baat karte waqt meri aankhe hi bhar aayi " beta lohdi aa gyi ghar kab aa rhe ho , 10 saal ho gye tum ek bar bhi ghar nahi aaye " actully childhood me mujhe Boarding school delhi me bhej dia gya tha or yha me apne chacha ke yha rahta aaya hu   or yhi pe study kar ke placement laker itni bdi job pe appoint hua hu aaj jab mom ne ghar aane ke lie kha to bta nahi sakta kitna khush ho rha hu lekin apni feelings par control karke bas itna kha ki " Aa rha hu maa, bahut jalad aa rha hu  "
bas fir kya tha subah office gya or 3 din ki chhuti ki application boss ko de di . uske baad jo hua vo to unexpected tha . mujhe chhuti mil gyi kyonki lohdi jo thi . aaj pahli bar boss mujhe acche lag rhe the ji kar rha tha ki salute kar lu par kher chhuti mil gyi bahut h
fir ghar jane ke lie packing start ki or train pakad li
aaj train me bethhe musafir ko dekh ke man khush ho rha tha . lagbhag sabhi mere age ke hi the . safar kafi lamba tha islie mne vha kuch ajnabi logo se dosti kar li or unse puchne par pta chla ki  koi kisi relatives ke yha lohdi celebrate karne ja rha h , or koi itne dino bad apne ghar ja rha , jse ki me .
manzil aa chuki thi pure 10 saal ho gye shahar se dur kaafi kuch badal gya hoga yha  , finnally i am in home , mera shahar dehradun !
station se utarte waqt taxi ko aavaz lgayi or ghar ke lie ravana hua . yha ki sadke or naksha kafi kuch badal chuka tha asa lag hi nahi rha tha ki yhi mera 10 saal pahle ka dehradun h jha ki har galiya mujhe yaad thi me apne khayalo me duba hi hua tha ki ek kite udd kar taxi ke shishe par aa giri or taxi ruk gyi or driver jor se chillane lag gya " accha hua bach gye nahi to abhi accident ho jata  " itna kahne ke bad driver taxi se bahar aaya or usne vo patng hatayi or sadak se dur fenk di ? aaj itne saalo bad kite ko dekhha , mujhe mere bachpan ke din yaad aa gye . me bahut kites udata tha . vse sach khu tu me bachpan me soldier tha kites udata kam or kati hui kites jyada pakadta tha . mujhe aaj bhi yaad h jab me 10 saal ka tha to ek chhoti cycle hoti thi cycle ke picche vali seat par ek manjha rkhha hota tha or har kites pe nazar rakhta tha jo aasman me udd rhi thi . jse hi koi kat jati main apni cycle tez kar leta or us kite ko follow karta . asa karte hue me kisi soldier se kam bhi nahi lagta tha kyonki mere lie to ye mission hi tha  . or bahut kam hi asa ho pata thi ki kites nichhe girti thi usse pahle hi me cycle  pe thoda khda ho kar use lapak leta tha or shaktiman ban jata tha
" lo sir aapka address aa gya " driver ne asa bolte hue meri bachpan ki yaado se mujhe bahar khincha . or aaj jab ghar ko dekhha to man khush hua . halanki dubara bna h pahle jsa nahi fir bhi accha tha apna jo tha . ghar pe enter karte waqt sab ko shock kar dia kyonki unke lie to ek surprise hi tha aakhir itne saalo baad beta ghar aaya h . kafi injoy kia mne sbhi friends se milne ka plan bnaya ghar se bike uthayi or ek diary me note kar lia ki aaj kis kis se milna h aakhir 3 din hi to h mere pass
jab main ek dost se milne ke lie ja rha tha to usi raste se guzra jha taxi se kite takrayi thi or driver ne kite sadak ke kinare fenk di thi . vha usi raste me kite ko dekh kar me shock ho gya kyonki kite abhi bhi vha kse ho sakti h ? kya koi kites ko lekar nahi gya ? kya aaj bacche kite udana psand nahi karte ?
 ase bahut se swal man me the mne bike roki or kite uthayi . main tab shock ho gya jab dekhha ki kite to new h ye khi se cut ke nahi aayi . shayad new hi khi se udd kar aa gyi ho
mujhe ye dekh kar bahut gussa aaya ki kya kites ka craze khatam ho gya delhi ki baat alag h vo to modern h par mera shahr kab se ho gya aaj kal bacche bahar khelna pasand nahi karte ghar pe hi videogames khelte h .



new genration aaj ke time me digitel ki aadi ho gyi h unhe bahar khelna pasand nahi or ek hum the jinhe ghar aane ka hosh hi nahi hota tha mne socha ki koi to hoga jise aaj bhi kites pasand ho islie mne kite vhi chhod di or me khud sath vali dukan me khda hoker wait karne lga ki koi to hoga jo iss kite ko ghar leke jayega
fir dubara me apne bachpan me pahunch jata hu . kyonki aaj iss kite ko dekh kar sara bachpan mere samne ek film ki tarah dikh rha tha
 mujhe yaad aata h ki kse me patang me I love U likh kar padosi aunty ki ladki "Niru" ke ghar jan bujh kar kite gira deta tha bad me dant bhi bahut padti thi mujhe niru se nahi uski mummy se kyonki vo dekh leti thi
mere friend uss waqt mere dushman ban jate the jab baat kite katne ki aati thi . mujhe kite kaatne ke har tareeke pta the . ek baar to tutuion dene ka sochne lga taki unn paiso se or kites khrid lu par chhote bachho ka dimag jo tha chhota hi sochta
sham ho gyi abhi tak koi nahi aaya kite lene islie haar maan kar mne hi kite utha li or apni yaado ke sath ghar le gya ye soch kar ki aaj logo ne apni life me chahe kitni bhi success haasil kyo na kar li ho lekin childhood ke kisse uske zahan me hmesha rhenge or khud ke shahr ko chhod kar mne bahut bdi galti kar li kyonki carrer banane ke lie dusre shahar jakar hum vha to bas sakte h lekin picche chhut chuka apna shahar viraan ho jata h 

Himanshu middha

No comments:

Post a Comment